After Satyanarayan Puja and recitation of Sri Satyanarayana Vrat Katha, aarti of Satyanarayana is sung:
Jai Lakshmi Ramana, Swami Jai Lashmi Ramana, Satyanarayan Swami, Jan Patak Harana, Jai Lakshmi Ramana
Ratan Ja Rat Singhasan, Adhbut Chabee Rajey Narad Kahat Niranjan, Ghanta dhun bhajey Jai Lakshmi Ramana.............
Praghat Bhaye Kali Karan, Dwaj Ko Daras Diya Budha Brahman Bankey, Kanchan Mahal Kiya Jai Lakshmi Ramana.............
Durbal Bhil Kathier, Jan Par Kripa Karey Chandra Choor Ik Raja, Jinaki Vipat Hare Jai Lakshmi Ramana.............
Vayesh Manorath Payo, Shradha Uj Dini So Fal Bhogyo Prabhji, Fer Ustati Kini Jai Lakshmi Ramana.............
Bhav Bhagti Ke Karan, Chhin Chhin Roop Dharya Sharda Dharan Kini, Tin Ka Karj Sarya Jai Lakshmi Ramana.............
Gwal Bal Sang Raja, Ban Mein Bhagti Karey Man Vanchit Fal Dino, Deen Dayal Harey Jai Lakshmi Ramana.............
Charhat Prasad Sawayo, Kadali Fal Mewa Doop Dheep Tulsi Se, Raje Sat Deva Jai Lakshmi Ramana.............
Shri Satya Narayan Ji Ki Aarti jo koi gaavey Kahat Shianand Swami Man Van Chit Fal Paavey Jai Lakshmi Ramana.............
Shri Vishnu Aarti
Om jai jagdish harey, Swami jai jagdish harey Bhagt jano ke sankat, shan mein door karey Om jai jagdish harey
Jo Dhiyavay phal pavay dukh binase man ka Swami dukh binase man ka Sukh Sampati ghar aavey kasht mitay tan ka Om jai jagdish harey
Mat Pita tum mere, sharan pau kisaki Swami sharan pau kisaki Tum bin aur na duja aash karoo jisaki Om jai jagdish harey
Tum pooran parmatma tum antaryami Swami tum antaryami Par Brahm parmeshwar tum sabke swami Om jai jagdish harey
Tum karuna ke sagar tum palan karta Swami tum palan karta Mae murakh kul kami kripa karo bharta Om jai jagdish harey
Tum ho ek agochar sabh ke pranpati Swami sabh ke pranpati Kisa bida milu gusai tumko mae kumati Om jai jagdish harey
Din Bandu dukh harta thakur tum mere Swami thakur tum mere Apne hath uthao, apnay charan lagao Dwar khada tere Om jai jagdish harey
Vishay vikar mitao pap haro deva Swami pap haro deva Sharda Bhakti Badao, Santan ki sewa Om jai jagdish harey
No comments:
Post a Comment